kabhi hasna, kabhi rona, kabhi khud pe hairan hona,
kitna mushkil hai naye daur ka insaan hona,
kispe yakeen karen aur kispe na karen,
kya jhoot hai aur kya such hai,
kaun jane hakikat kya hai,
kaun jane kaun kya hai.
wo kahte the humara koi nahi,
wo kahte the hum kisi ke nahi,
betye humdardi ke kuch pal sath unke,
wo pal zindagi me kuch khas lagne lage.
banti unhone kuch baten humare sath,
jo humare kuch khas hone ka sabab ban gai,
chedne lage dost....... dosti ki duhai dekar,
laga aisa jaisse udna sekh gaye hum.
wo hume yaad karte the aksar,
dukhi dekhkar sath dete the aksar,
lagta tha jaise wo apne ho gaye hai,
sapne mano such ho gaye hai.
zindagi khubsurat lagne lagi
tanhai se rishta chor diya humne
samajh baithe ki ye khushi umr bhar ki hai,
samjha tha khud ko khusnaseeb humne.
par hawa ne rukh kuch aisa badla
ankhen ro bhe na saki or muh se kuch na nikla,
zindagi phir tanha lagne lagi,
tanhai fir dost lagne lagi,
kha tha usne ki wo kisi se dil nahi lagayegi
kha tha usne ki wo zindagi me kisi ko nahi layegi
to phir kyon wo mujhse nazren churane lagi
to phir kyon wo mujhse door jane lagi.
sahi nahi jati unki ye berukhi,
pal pal nikalti hai ye jan meri,
har pal tutkar bikharta hu main,
aur mere dard ka unko ehsas tak nahi.
ab to unko humari dosti bhi bojh lagne lagi thi,
ab to humari humdardi bhi bekar lagne lagi thi
pasand nahi karte the wo ab humse baat karna,
hume zindagi me unki kami lagne lagi thi...
hum to jee rahe the unhi ka naam lekar,
wo mazak bana rahe the humare pyar ka naam lekar,
ek din wo aye or kah gye ki bhula to hume,
aur chale gaye hathon me kisi or ka naam dekar,
kahbi hasna kabhi rona kabhi khud pe hairan hona
kitna mushkil hai naye daur ka insaan hona...................
Poetry By:
Arif Rahman
Saturday, March 27, 2010
Kis Kadar Bande Ko Halat Badal Dete Hai.
Kis kadar bande ko halat badal dete hai,
Sabhi eiman chalan zaat badal dete hai.
khatam karke bhi gum nahi chorte insaan ko,
sirf quidi ki hawalat badal dete hai,
Tum khayalat to soch ke kuch lana dil me,
Chalan insaan ke khayalat badal dete hai,
Jab samajh lete hai wo koi nahi iska jawab
batoon batoon me meri baat badal dete hai.
Admi wo nahi halat badal de jisko,
Admi wo hai jo halat badal dete hai,
Adab adaab ki rashm ko nai nasal ke log,
Kahkar farsooda khayalat badal dete hai.
Sabhi eiman chalan zaat badal dete hai.
khatam karke bhi gum nahi chorte insaan ko,
sirf quidi ki hawalat badal dete hai,
Tum khayalat to soch ke kuch lana dil me,
Chalan insaan ke khayalat badal dete hai,
Jab samajh lete hai wo koi nahi iska jawab
batoon batoon me meri baat badal dete hai.
Admi wo nahi halat badal de jisko,
Admi wo hai jo halat badal dete hai,
Adab adaab ki rashm ko nai nasal ke log,
Kahkar farsooda khayalat badal dete hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)