Friday, January 22, 2010

kya kahoo teri tareef main.............



Kya kahu teri tareef me har cheez kam hai,
wo khushi hai tu jo jitni mile kam hai,
teri ankhon ko sagar kahu ya aasman,
khair jo bhe kahu kam hai...


Barish me nahate bacchon ki si hansi hai teri,
Tu saath ho to andhere me bhe ho roshni,
Tere saath chalu to sare jahan ka rasta kam hai, kya kahu teri tareef me har cheez kam hai...

teri awaz sunne ko ye jaan tarasti hai,
magar ye duri dekh ankhen barasti hai,
tere bina ye zindagi bus gum hai,
kya kahu teri tareef me har cheez kam hai...


sheetal pawan ki thandak hai tu,
ek anjana sa ehsas hai tu,
tere saath bitaya har ek pal kam hai,
kya kahu teri tareef me har cheez kam hai...


teri baaten sun ye man hairan hai,
teri kuch haseen yaaden meri mehmaan hai,
gar zindi jeeun tere saath to ye zindagi kam hai,
kya kahu teri tareef me har cheez kam hai.............

Poetry By:
Arif Rahman