Friday, February 19, 2010

Koshish karne walo ki kahhi haar nahi hoti

Lahro se darkar kabhi nauka paar nahi hoti,
Koshish karne walo ki kahhi haar nahi hoti.

Nanhi chinti jab dana lekar chalti hai,
Chadhti deewaroon pe 100 bar fisalti hai,
Man ka visvas ragon me sahash bharta hai,
Chadh kar girna, gir kar chadhna na akharta hai,
Mehnat uski bekar har baar nahi hoti,
Koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti,


Dubkiyan sindhu me gotakhor lagarta hai,
Ja ja kar khali hath lautkar ata hai,
Milte na sahaj hi moti gahre pani me,
Badhta duna vishwas isi hairani me,
Mutthi uski khali har baar nahi hoti,
Koshish karne walo ki kabhi haar nahi hoti,


Asafalta ek chunauti hai swikar karo
Kya kami rah gai dekho or sudhar karo,
Jabtak safal na ho neend chain ki tyago tum,
Sangharshoon ka maidan chor  na bhago tum,
Kuch kiye bina hi jayjay kar nahi hoti,
Mehnat karne walo ki kabhi haar nahi hoti,

A Famous Poetry by:
Harivansh Rai Bacchan
(November27,1907-January18,2003)

Tuesday, February 16, 2010

In the search of TRUTH

Kahne wale kahte hai ke zindagi ke safar me
kisi se itna pyar mat karo ki  wah tumhare dil
dil ki kasak ban kar rah jaye or uski yad tumhare
dil me har pal basi rahe or tumhe apni zindagi viran
nazar ane lage.
Ane wale ka beshaq ishtaqbal (welcome) karo
lekin jab wo jane lage to uska ek ek naksh zehan se,
mita do warna tum tutkar bikhar jaoge or tumhe sametne wala koi na hoga.

By:
Arif Rahman

A thought about love.

Na jane dil kaha bhatak raha tha,
apke pyar ne kinara diya,
hosh me rahne ki adat na thi,
apki yadoon ne sahara diya,
yadoon me apki aheen bharte hai,
sansoon ke sath apko yaad karte hai,
sagar ki jitni gahrai nabh ki jitni unchai,
utna hum apse pyar karte hai,
raat b apke khayaloon me guzarti hai,
or din ko b apko hi sochte hai.
jindagi kuch aise jeene ki adat pad gai,
k sabhi pal apka hi naam hota hia,
kuch andekha ansuna sa jadu chalne laga,
apke hi khyal me ye dil duba rahne laga,
meri har ummeid tumhi se hai,
main har pal dua karunga ki apse milne ki sham a jaye,
zindagi ka wo pal jald hi aa jaye,
jab ye zindagi apke kaam ajaye,


A thought by: Arif Rahman