Friday, August 27, 2010

From the bottom of my heart...... By Ajay Yadav

* Hawaon mein uski khusboo ka ehsaas karta hoon.....,
  Har garhi har pal bus usko hi yaad karta hoon.........,
  Yun toh karta hoon main har chehre se baatein........,
  Par naa jaane kyun...............................................,
  Har chehre mein sirf uska hi chehra talaash karta hoon......!

* Ankhon mein uski tasveer kuch iss kadar bus gayi hai......,
  Raaton ko jaagna ab meri taqdeer ban gayi hai.......,
  Kaise nikaaloon teri yaadon ko mein apne iss dil se....,
  Teri yaadon ki iss dil mein ek lakeer si ban gayi hai.......!

*  Jo mera ho nahi sakta usse pyar karne ka gunaah kiya hai maine.......,
   Zindgi ne hazaron dukh diye par sabko dil mein hi chupa liya maine.....,
   Pyar toh woh bhi mujhse be-intehan karti thi par naa jaane kyun........,
   Rab ne usko bhi mujhse door kar diya..., aakhir aisa kya gunaah
   kiya maine.....!

*  Kehtein hain pyar mein koi bandhan nahi hota,
   Par majbooriyaan bahaut hoti hain..........,
   Kehtein hain pyar ki koi seema nahi hoti,
   Par issmein dooriyaan bahaut hoti hain........,
   Kehtein hain sachcha pyar rab se bhi uncha hota hai.....,
   Par phir bhi duniya ko isse jalan bahaut hoti hain........!

*  Rab jaane yeh zindgi ka safar ab kahan lekar jayega......,
   Kya yeh dil tumhe saari umar yuhin dhoondta reh jayega....,
   Bus isshi umeed par har raah par chal padta hoon main....,
   Kahin naa kahin toh mujhe tera chehra..tera saaya....nazar aayega........!!

Written By
Ajay Yadav

1 comment: