Friday, September 3, 2010

WO AISA HOO ...

WO AISA HOO .......!!

na wo farishta ho na farishtey jaisa ho mujhe talash hai uski jo mere jaisa ho
mere khuloos ko pehchanta ho bas kafi hai wo koi bhi ho kahin bhi ho
kaisa bhi ho

agar kabhi rooth jaon main us se to muskura ke manaye wo aisa ho
jo baat kare to wo nibha bhi sake iraadon mai apne wo chattano jaisa ho
dukhon mai hasne ka hunar jaanta ho ek aisa humsafar jo samandar ki
tarah gehra ho   uske pyar ki thandak ho mere liye aisi ke wo to
bilkul aasmaan ke chand jaisa ho

wo sirf mera ho jo nighaahon mai haya rakhta ho umar bhar sath chalne
ko azam-e-wafa rakhta ho   jo khwaab dene ko qadir ho meri aankhon ko
meri mohabbat ko pehchan sake wo aisa ho....

3 comments: